Friday, May 13, 2016

Hamd, Naat & Salam lyrics best of my knowledge:




Hamd lyrics:



Allah allah hu allah hu allah:

Wohi rab hai jisne tujhko hama'atan karam banaya
hame bheek mangne ko, tera aastaan bataya
tujhe hamd hai khudaya

Tumhi haakim e baraya, tumhi qasim e ataya
tumhi dafaee balaya tumhi safaee khataya
koi tumsa kaun aya tujhe hamd hai khudaya

Woh kunwari paak maryam, wo nafakhto feehe kaadam
hain ajab nishaan eazam, magar aamena ka jaaya
wohi sabse afzal aya tujhe hand hai khudaya

yahi bole sidra waale, chaman e jahan ke thalay
sabhi maine chaan dale tere paye ka na paya
tujhe yak ne yak banaya tujhe hamd hai khudaya

ary aye khuda ke bandoon, koi mere dil ko dhundho
mere paas tha abhi to, abhi kya hua khudaya
na koi gaya na aya tujhe hand hai khudaya

Hame aye raza tere dil ka pata chala ba mushkil
dar e raoze ke muqabil wo hame nazar to aya
ye na pooch kaisa paaya tujhe hand hai khudaya

2) Wohi khuda hai:

Koi to hai jo nizam e hasti chalaraha
hai wo hi khuda hai

dikhai bhijo na de nazar bhi jo araha hai
wohi khuda hai

nazar bhi rakhe , samatain bhi
wo janleta hai niyaatain bhi
jo khana e lashaor me jagmaga raha hai
wohi khuda haiX4

talas usko nakar butoon me
wo hai badalti hui rutoon me
jo dinko raat or raat ko din banaraha hai

wohi khuda hai.






Naat lyrics:






1) Chamak tujhse paate he:


Chamak tujse paate he sab paane waale,
Mera dil bhi chamka de chamkaane waale.

Barasta nahi dekh kar abre rehmat,
Badon par bhi barsa de barsa ne waale.

Madine ki khitte Khuda tujh ko rakkhe,
Ghareebon faqeeron ke thehraane waale.

Tu zinda he wallah, tu zinda he wallah,
Mere chashme aalam se chup jaane waale.

Me mujrim hu Aaqa, mujhe saath le lo,
Ke raste me he jaa baja thaane waale.

Haram ki zami aur qadam rakh ke chalna,
Areh sar ka moqa he o jaane waale.

Tera kaye tere Ghulamo se uljhe,
He munkir ajab khaane ghurraane waale.

Rahega yuhi, unka charcha rahega,
Pare khaak ho jaaye jal jaane waale.

Raza nafs dushman he dum me na aana,
Kaha tumne dekha he chand raane waale.








2) Hamne seene me madina:



Hamne seene me madina youn basa rakha hai

aks e dil gumbad e khazra ko bana rakha hai



wardoon jaan mai taha ki haseen aankhon par

sare alam ko hi diwana bana rakha hai



bas usi zaat se hai dono janah me raonakh

ek muhammad(s.a.w) ke siwa duniya me kya rakha hai



kufr hai gar to kahain murda mere aqa ko

wo to zinda hai faqat parda gira rakha hai



or do thikane hai diwanao ko khuda ne bakshe

hai wahan khuld or yahan taiba bana rakha hai



sar kata kar jo tilawat bhi kiya karte hai

jinko quran mere aqa ne padha rakha hai












3) Kaabe ke badrud duja:


Kaabe ke badrud duja tum pe karoron durood
taiba ke shamsud duha tum pe karoron durood

shaafa'e roze jazaa tum pe karoron durood
daafa'e jumla balaa tum pe karoron durood

dil karo thanda mera woh kaffe paa chaand sa
seene pe rakhdo zaraa tum pe karoron durood

aur koyee ghaib kya tum se nihaan ho bhalaa
jab na khudaa hi chupaa tum pe karoron durood

wo shabbe me'raj raaj woh saf e mehshar ka taaj
koyee bhi aisa huwa tum pe karoron durood

aapna khatawaro ko aapne hi daman mein loh
kaun kare yeh bahla tum pe karoron darood

kar ke tumhare gunaah mange tumhee se panaah
tum kaho daaman me aa tum pe karoron durood

tum ho haafiz-o-mughees kya ha woh dushman khabees
tum ho to phir khauf kya tum pe karoron durood

ek taraf a'daa'e deen ek taraf he haasideen
banda he tanha shaha tum pe karoron durood

hum ne khataa me na ki tum ne ataa me na ki
koyi kami sarwaraa tum pe karoron durood.




4) Lam yaati naziro:

Lam yaati naziro kafi nazrin,
Misle to na shud paida jaana.

Jag raaj ko taaj tore sar so,
He tujh ko shahe do sara jaana.

Ana fi atshiw wa sakha ka atam,
E gesu e paak, e abr e karam,

Barsan haare rimjhim, rimjhim,
Do boond idhar bhi gira jaana.

Al bahro alaa wal mawjo tagha,
Man bekaso tufaan hosh ruba,

Manjdhaar mein hun ya Rasulallah,
Manjdhaar mein hun bigri hai hawaa,
Mori nayya paar laga jaana.

Ar ruhu fida ka fazid harka,
Yak shola digar barzan ishqa,

Mora tan, man, dhan, sab phoonk diya,
Yeh jaan bhi pyaare jala jaana.

Al qalbo shijiwm wal hamo shujut,
Dil dar chuna jaan zer chunu,

Pat apni bhi pat mein kaaise kahun,
Mera koun hai teray siva jaana.

Bas khaama-e khaam nawa e Raza,
Na ye taraz meri na yeh rang mera,

Irshaad e ahibba naatik tha,
Nachaar is raah para jaana.





5) Tera khawan main Tere:

Tera khawan main Tere geet gawan, Ya Rasoolallah
Tera milaad mein kyon na manawaan, Ya Rasolallah.

Halima kar qadi vekhay, kadi Sarkaar (SAW) nu wakhay,
Main keri sayj Tere lai sajawan, Ya Rasoolallah.

Mera dil vi aie chahnda aey, Tusi merey we ghar aao,
Par mein kerey maan thi tainu bulaanwaan, Ya Rasoolallah.

Jagaao bhaag merey vi Abu Ayyub dey vangoon,
Muqaddar os da kithon liyawan, Ya Rasoolallah.

Mayn kujh vi nai jay Teray naal meri koi nisbat nahin,
Mayn sab kuch haan je mayn Tera sadaawan, Ya Rasoolallah

Suna hai Aap har ashiq kay ghar tashreef latay hain,
Meray ghar mein bhi ho jaye charaghan, Ya Rasulallah.





6) Unki Mahak Ne Dil Ke Ghunche:



Unki Mahak Ne Dil Ke Ghunche Khilaa Diye Hai
Jis Raah Chal Diye Hai Kooche Basaa Diye Hai

Jab Aagayee Hai Joshe, Rahamath Pe Unki Aankhe
Jalte Bujha Diye Hai, Rothe Hasaa Diye Hai

Ik Dil Hamaara Kya Hai, Aazaar Us Ka Kitna
Tum Ne To Chalte Phirte, Murde Jilaa Diye Hai

Un Ke Nisaar Koyi, Kaise Hi Ranj Me Ho
Jab Yaad Aagaye Hai, Sab Ghum Bulaa Diye Hai

Asra Mein Guzrey Jis Dam, Berey Pe Qudsiyon Ke,
Hone Lagi Salaami, Parchum Jhuka Diye Hain.

Hum Se Faqeer Bhi Ab, Pheri Ko Uth-The Hoge
Ab To Ghani Ke Dar Par, Bistar Jamaa Diye Hai

Aane Do Ya Dubo Do, Ab To Tumhaari Jaanib
Kashthi Tumhi Pe Chodi, Langar Utha Diye Hai

Allah Kya Jahannam, Ab Bhi Na Sard Hoga
Ro Ro Ke Mustafa (salallahu alaihiwasalam), Ne Darya Baha Diye Hai

Mere Karim Se Gar, Qatra Kisi Ne Maanga,
Dariya Baha Diye Hain, Durbe Baha Diye Hain.

Dulha Se Itna Kehdo Pyarey Sawari Roko,
Mushkil Mein Hain Baraati, Purkhar Laa Diye Hain.

Mulke Sukhan Ki Shaahi, Tum Ko Raza Musallam
Jis Simth Aagaye Ho, Sikke Bith-Aa Diye Hai.








7) Uthado Pardah Dikhaado:


Uthado Pardah Dikhaado Chehra Ke Noore Baari Hijab Me He
Zamaana Taareekh Ho Rahaa Hai Ke Mehr Kab Se Naqaab Me He

Nahi Wo Meethi Nigaahe Waala Khuda Ki Rahmath He Jalwa
Farma Ghazab Se Unke Khuda Bachaaye Jalaale Baari Itaab Me He


Jali Jali Boo Se Uski Paidaa na Sauzishe Ishqe Chashm Waala
Kabaabe Aahoo Me Bhi Na Paaya Mazaa Jo Dil Ke Kabaab Me He

Unhi Ki Boo Ma Ya’e Saman Hai, Unhi Ka Jalwa Chaman Chaman hai
Unhi Se Gulshan Mahak Rahe Hai, Unhi Ki Rangat Ghulab Me Hai


Khare He Munkar Nakir Sar Par Na Koyi Haami Na Koyi Yaawar
Bataado Aakar Mere Payambar Ke Sakht Mushkil Jawab Me He


Khuda-E Qah’haar He Ghazab Par Khule He Badkaariyo Ke Daftar
Bachaalo Aakar Shafi-E Mehshar Tumhara Banda Azaab Me He


Kareem Aisa Mila Ke Jiske Khule He Haath Aur Bhare Khazaane
Bata’o Ae Mufliso Ke Phir Kyoo Tumhara Dil Iztaraab Mein He


Kareem Apne Karam Ka Sadqa La’eem Be qadr Ko Na Sharma
Tu Aur Raza Se Hisaab Lena Raza Bhi Koyee Hisaab Me He.







8) Wo Kamaal-e-Husn-e-Huzoor Hay:


Wo Kamaal-e-Husn-e-Huzoor Hay Kay Gumaan-e-Naqs Jahaan Nahin Yehi Phool Khaar Say Duur Hay Yehi Sham’a Hai Kay Dhu-aan Nahin

Ba Khuda Khuda Ka Yehi Hay Darr Nahi Aur Koi Maffar Maqqar
Jou Wahaan Se Ho Yahin Aakay Ho Jou Yahaan Nahi Tou Wahan Nahin

Teyray Aagay Youn Hain Dabbay Lachay Fu-saha A’rab Kay Barray Barray Koi Jaanay Moo May Zubaan Nahin Nahin Balkay Jism Mein Jaan Nahin

Wohi Noor-e-Haq Wohi Zillay Rub Hai Unhee Say Sub Hai Unhee Ka Sub
Nahin Unki Milk Meyn Aasmaan Ke Zameen Nahin Ke Zamaan Nahin

Wohi Laa Makaan Kay Makeen Huay Sar-e-‘Arsh Takht Nasheen Huay
Wo Nabi Hai Jiss Kay Hain Ye Makaan Wo Khuda Hai Jiska Makaan Nahin

Sar-e-‘Ar(sh) Per Hai Teree Guzar Dil-e-Farsh Per Hai Teree Nazar
Malakoot-o-Mulk Mein Koi Shay Nahin Wo Tujh Pay A’yaan Nahin

Karoon Teray Naam Pay Jaa(n) Fida Na Buss Aik Jaa(n) Dou Jahaa(n) Fida
Dou Jahaan Say Bhi Nahin Jee Bharaa Karoon Kiya Karoron Jahaan Nahi

Karoon Madhay Ahle-e-Doel Raza Parray Iss Bala Meyn Meyree Balaa

Meyn Gada Hoon Apnay Kareem Ka Meyra Deen Paara-e-Naan Nahin.








9) Chain tumse kharar tum se hai:



Chain tumse kharar tum se hai
Zindagi ki bahar tumse hai

Be wasilonn ke tum wasila ho
fazle parwar digar tumse hai

kya karoon leke sari duniya ko
meridil ka kharar tum se hai
ishq be iqkh tiyar hota hai
ishq be iqhtiyar tumse hai

laj rakhna ke mai tumhara hoon
meri jeet or har tum se hai

yun to duniya me hai hazaroon hasi
kya karoon mujh ko pyar tum se hai

ya muhammed (s.a.w) umeed ware karam
hasrate khaak sar tum se hai.







10) Dare nabi par para rahoon ga:

Dare nabi par para rahoon gapare hi rehne se kaam hoga
Kabhi to qismat khule gi meri kabhi to mera salam hoga

Khilafe mashooq kuch huwa hai na koi aashiq se kaam hoga
Khuda bhi hoga udhar bhi aye dil jidhar woh aali maqam hoga

Kiye hi jaoon ga arz matlab milega jab tak na dil ka matlab
Na shaam e matlab ki subha hogi na yeh fasana tamam hoga

Jo dil se hai ma’il-e-payambar yeh is ki pehchan hai muqarrar
Ke har dam is be nawa ke lab par durood hoga salam hoga

Isi tawaqqa pe ji raha hoon yehi tamanna jila rahi hai
Nigahe lutfo karam na hogi to mujh ko jeena haram hoga.





11) Dil ki duniya ko sajao aqa:


Dil ki duniya ko sajao aaqa

Apni ulfatt me jilao aaqa



Shauke didaar me sou jis shab

Apna didar karao aaqa



Mere dil ki hai tamanna har dam

Apna ghar isko banao aaqa



Fikre duniya me na aansu nikle

Apni ulfatt me rulao aaqa



Hubbe duniya se bachana mujhko

Mujhko apna hi banao aaqa



Jitne momin hai pareshan shaha

Sabki bigdi ko banao aaqa


Shakire razvi hai aasi shaha
Mujda bakshish ka sunao aaqa

Dil ki duniya ko sajao aaqa
Apni ulfatt me jilao aaqa.



12)Hudood e tair e sidra huzoor:


Hudood e tair e sidra huzoor jante hai
kahan hai arsh e muallahX2 huzoor jante hai

unhe khabar hai kahin se padho durood unpar
tamam dahr ka naqsha huzoor jante hai

bula bhi sakte hai wo aa bhi sakte hai
ye durioon ko mita na huzoor jante hai

mai mangta hoon unhi se unhi se mangonga
huzoor par hai bharosa huzoor jante hai

Jo ho chuka hai jo hoga, huzoor jante hain,
Teri aata say Khudaya, huzoor jaante hain.

khuda ko dekha nahi magar ek janliya
ye jante the sahaba huzoor jante hai

Munafiqoon ka aqeeda woh gaibdaan nahin,
sahabiyoon ka aqeeda, huzoor jantay hain

Aie ilm e ghaib kay munkir Khuda ko dekha hai.
Tujhay bhi kehna padega, huzoor jante hain.

Hain jiske moula huzoor,hain uske moula Ali,
Abu Turab ka rutba, huzoor jante hain.

Malaika ne kiya, sajda Adam ko,
Asal tha wo kiska sajda, huzoor jante hain.

Chupa rahe hai lagatar, mere aiyboon ko,
Main kis qadar houn kameena, huzoor jante hain.

sikhayi baat ye sarwar hame sahaba ne
ye janta hai khudaya huzoor jante hai

Teri aata se Khudaya, huzoor jaante hain.









13) Koay Nabi (SAW) se:

Koay Nabi (SAW) se aa na sake hum,
rahat hi kuch aisi thi
Yaad rahee na jannat humko,
jannat hi kuch aisi thee

Takkte rahein Yousaf jaise bhi,
hashr main unke chehre ko
Jab poocha tu kehnay lagay woh,
surat hi kuch aisi thee

Bolo aey Jibreel ke unki,
kyun kar taliyan choomi thein
Tu kehne lage Jibreel ke,
unki azmat hi kuch aisi thee

Duniya mein, Sarkaar (SAW) ki naatein,
parhtay rahein har eik lamha
Qabr mein beti naat labhoon par,
aadat hi kuch aisi thi.

Pass bulaya, pass bithaya,
arsh pe unko Khaliq nay
Yeh to akhir hona hi tha,
chahat hi kuch aisi thee.


Akbar-o-Asghar, aur yeh Ghazi,
deen pe warein hans hans kar
Yoon lagta hai, deen-e-Nabi ki,
keemat hi kuch aisi thee

Kabr main Hakim jab puhanche to
hans ke nakeeron ne dekha
Kyon na farishte pyaar say milte,
nisbat hi kuch aisi thee.









14) Tere Hote janam liya hota:




Tere hote janam liya hota
Tere hote janam liya hota

Fir kabhi to tujhe mila hota



Kaash mai sang-e-dar tera hota

Tere kadmon ko choomta hota



Tu chala karta meri palkon par

Kaash mai tera raasta hota



Zarra hota jo teri rahon ka

Tere talwon ko chhu liya hota



Ladta firta mai tere ada se

Tere khatir mai mar gaya hota



Tere maskan ke gird sham-o-sehar
Ban ke mangta mai fir raha hota

Tu kabhi to mujhe bhi tak leta
Tere takne pe bik gaya hota

Tu kabhi to meri khabar leta
Tere kuche me ghar kiya hota

Tu jo aata mere janaze par
Tere hote mai mar gaya hota

Chod kar jannate palat aata
Tu meri kabar par khada hota

Hota roohi tere fakiron me
Teri Dehlij par pada hota

Tere hote janam liya hota
Tere hote janam liya hota
Fir kabhi to tujhe mila hota




15) Aasma gar tere talwoon ka:

Aasma gar tere talwoon ka nazara karta,
roz ek chand tasaddukh me utara karta.

Chup gaya chand na ayi tere didar ki ta,
or agar samne rehta to bhi sajda karta.

Aah kya khub tha gar hazir e tar hota mai,
unke saye ke tale chain se soya karta.

Aank uthti to mai jhunjh lake palak si leta,
dil bigad ta to mai ghabra ke sambhala karta.

Kabhi khud apne taghaiyyur pe mai hairan hota,
kabhi khud apne samajh ne ko na-samjha karta.

Kabhi kehta ke ye kya bazm hai kaisi hai bahar,
kabhi andaz e tajahul se mai taoba karta.

Maut us din ko jo phir naam watan ka leta,
khaak us sir pe jo is dar se kanara karta.

Be khuda na kabhi sajde me sue-dar girta,
janib e khibla kabhi chonk ke palta karta.

Ye maze khoobi ye khismat se jo paye hote,
sab se diwana tha gar khuld ki parwah karta.

Aye hasan khasd e madina nahi rona hai yahi,
or mai aap se kis baat ka shikwa karta.



16) Dil se mustafa ko tu pukar:

Ho ke ashk bar, dil se mustafa ko tu pukar
hoga beda par

Jahan jahan bhi gaye wo karam hi karte gaye,
kisi manga na manga wo jholi bhar te gaye,
aise hain sarkar mere aise hain sarkar,
dil se mustafa ko tu pukar hoga beda par.

koi ajaye talab se bhi siva dete hain
aye bimaar to har dukh ki dawa dete hain
sang mare jo koi usko dua dete hain
dushman ajaye to chadar bhi bicha dete hain
aise hain sarkar mere aise hain sarkar.

Kaha majnu ne koi misle laila honahi sakta
kaha frhad ne shiri ke jaisa honahi sakta
zuleqa ne kaha yusuf se acha honahi sakta
kaha insab se maine sab ye munkin hai magar sunlo
muhammad (s.a.w) dusra duniya me paida honahi sakta
aise hain sarkar mere hoga beda par.

padho durood padho mominoon durood padho
durood se kabhi ghafil na ho durood padho
dukhon ne tum ko sataya ho to durood padho
jo hazri ki tamana hai to durood padho
agar durood padho mominoon kharine se
huzoor khud hi chale ayenge madine se,
aise hain sarkar mere asie hain sarkar

dil madine ke tasawwar se behel jainge
nam sunkar tere diwane machal jainge
asiqoon rooz duroodon ki sajao mehfil
dekhte dekhte halat badal jainge
hoga beda par hoga beda par

gham sabhi rahat o taskin me dhaljate hain
jab karam hota hai halat badal jate hain
koi dekhe to sahi unki duhai dekar,
ya muhammad (s.a.w) se to pathar bhi pigal jate hain

aise hain sarkar mere aise hain sarkar




17) Is karam ka karoon shukr kaise:

Is karam ka karoon shukr kaise ada
Jo karam mujpe mere nabi ne kiya
main sajata hoon sarkar ki mehafile
mujko har gam se rab ne bari kar diya
Is karam ka karoon shukr

lamha lamha hai mujhpar nabi ki ata
dosto or mangu main maula se kya
kya ye kam hai ke mere khuda ne muje
apne mehbub ka ummati kar diya
Is karam ka karoon shukr

zikr sarkar ki hai bari barkate
mil gai rahate azamate rifa-ate
main gunahgaar tha be-amal tha magar
Mustafa(saw) ne muje jannati kar diya
Is karam ka karoon shukr

jo dare Mustafa(saw) ke gada ho gae
dekhte dekhate kya se kya ho gae
aisi chasme karam hai sarkar ne
har gada ko shafi ne wali kar diya
Is karam ka karoon shukr

koy mayus laota na darbar se
jo bhi manga mila mere sarkar se
sadake jau 'niyazi' mai lajpal ke
dono aalam mai mujko sakhi kar diya
Is karam ka karoon shukr




18) Jahan bhi ho wahin se do sada:

Jahan bhi ho wahin se do sada sarkar sunte hai
sar e aina sunte hai pas e diwar sunte hai

meri har saans unki ahaton ke saath chalti hai
mere dil ke dhadakne ki bhi wo raftar sunte hai

khade rehte hai ahl e taqt bhi dehliz par unki
faqeroon ki sadaain bhi shahe abrar sunte hai

gunah garoo durood e walihana bhejkar dekho
wo apne ummati ka naghma e kirdar sunte hai

me sadqe jaoo unki rahmatallil alamini ke
pukaro chahe jitni bar wo har baar sunte hai

Muzaffar jab kisi mehfil me unki naat padhta hai

mera imaan hai wo bhi mere ashar sunte hai




19) Mera dil tadap raha hai:


Mera dil tadap raha hai mera jal raha hai seena
Ki dava vahi milegi mujhe le chalo madina

Didare Mustafa ko ankhen taras rahi hai
Dushwar ho gaya hai unke bagair jeena

Taswire mustafa jo nazar aa rahi hai dil me
Mai yeh sochta hoon dil me mera dil hai ya madina

Shabo roz bad raha hai meri tisnagi ka alam
Yeh pyaas kab bujegi mere sakie madina

Nahi malo zar to kya hai mai garib hoon yahi na
Mere ishq tu hi le chal mujhe janibe madina

Mujhe gardisho na chedo mera hai koi jaha me
Mai abhi pukar lunga nahi dur hai madina

Iqbal naatvo ki bas ek ilteja hai
Rahe zindagi salamat mai bhi dekh loon madina






20) Mujhe bhi shahid e asra:


Mujhe bhi shahid e asra bana diya hota,
nabi ki gard kafepa bana diya hota.

Nabi ke shehr ko udte huwe pohonch jata
ke tune mujh ko parinda bana diya hota

Bana ke mujh ko kabutar gufa me rakhdeta
nahi to makhdi ka jala banadiya hota

Sahaba girne na dete zameen par mujh ko
wazu ke pani ka khatra bana diya hota

Hassan hussain mere saath khelte hote
ke mujhko unka khilona banadiya hota

Udhaid kar meri chamdi aye khalikh e akbar
nabi ke paaon ka juta bana diya hota

Jalan se dekhte heeray jawaheraat muhje
nabi ki galiyoon ka kachra bana diya hota.









21)Naimatain banta jis simt woh:




Ne’amatein baant ta jis simt woh zeeshaan gaya,
Saath hi munshiaey rehmat ka qalam daan gaya

Naimatain Banta
teri chahat ka amal mera manshur raha
teri dehliz ka phera mera dastoor raha
ye alag baat ke tu aankh se mastoor raha
dil hai wo dil jo teri yaad se mamoor raha
sir hai wo sir jo tere khadmoon pe khurban gaya

Naimatain banta
tujh se jo pher ke mu janib e quran gaya
surkh rooh hoke na duniya se wo insan gaya
kitne gustakh bane kitno ka imaan gaya
le khabar jald ke ghairoon ki tarf dhiyaan gaya
mere aqa mere maula tere qurbaan gaya

Naimatain banta
Aah woh aankh ke nakam e tamanna hi rahi
Hai woh dil jo tere dar se pur arman gaya
Aur tum par mere Aqa ki Inayat na sahi
Najdiyo! Kalmah padhane ka bhi ehsaan gaya

Naimatain banta
Aaj le unki Panah aaj madad maang unse
Phir na maanege Qayamat mein agar maan gaya
Uff ray munkar yeh badha joshe ta’assub akhir
Bheed me haath se kam bakht ke Imaan gaya.

Naimatain banta
baam e maqsad me tamannaon ke zinay ponhche
lab be sahil pe nasiboon ke safine ponhche
jinko khidmat me nabhi ne bulaya ponhche
jano o dil hosh o khirat saab to madine ponhche
tum nahi chalte raza sara to saman gaya.



22) Zameen pe utray jo anwaar:


Zameen pe utre jo anwaar lamakan wale,
Udaan bhool gaye apni asaman wale.

Maqam laakh ho taskeen-e-qalb-o-jaan ke liye,
nazare or hai taiba ke gulsitaan wale.

Madina akhri manzil hai haq shanasoon ki,
yahin theher hai sadiyoon se karwaan wale.

Jo chahe kehle khayasaat hain galat sab ke,
Kaman se hi nahi nikle do kaman wale.

Zameen waloon ko kya chalsake pata unka,
na pohnche gard ko jinki hai aasman wale.








23) Ae Rasool-e-Ameen:




Ae Rasul-e-Amin, Khaatamal Mursaleen
Tujh Sa Ko'i Nahi, Tujh Sa Ko'i Nahi

Hai Aqeedah Yeh Apna Ba-Sidq Wa Yaqeen
Tujh Sa Ko'i Nahi, Tujh Sa Ko'i Nahi

Bazm-e-Kaunain Pehle Sajaa'i Gayi
Phir Teri Zaat Manzar Pai Laayi Gayi
Sayyad al-Awwaleen, Sayyad al-Aakhireen
Tujh Sa Ko'i Nahi, Tujh Sa Ko'i Nahi
Sayyad al-Awwaleen, Sayyad al-Aakhireen

Dast-e-Qudrat Ne Aisa Banaaya Tujhe
Jumla Awsaaf Sai Khud Sajaaya Tujhe
Ae Azal Ke Haseen, Ae Abad Ke Haseen
Dhoondhti Hai Tujhe Meri Jaan-e-Hazeen

Tera Sikkah Rawa Kul Jahan Mai Huwa
Is Zameen Mai Huwa, Aasmaan Mai Huwa
Kya Arab Kya Ajam Sab Hai Zair-e-Nagin
Taubah Taubah Nahi, Ko'i Tujh Sa Nahi

Mustafa, Mujtaba, Teri Madh Sana
Mere Bas Mai Nahi, Dastaras Mai Nahi
Dil Ko Himmat Nahi, Lab Ko Yaara Nahi
Tujh Sa Ko'i Nahi, Tujh Sa Ko'i Nahi






24)Ek mai hi nahi unpar:





Ek mai hi nahi unpar qurban zamana hai,
jo rab e doalam ka mehboob yagana hai.

Kal pul se hame jisne khud par lagana hai,
zehra ka wo baba hai hasnain ka nana hai

Aao dar e zahra par phailaye hue daman
hai naslain karimoon ki lajpal gharana hai

saw bar agar tuti tauba bhi to kya matlab
bakshish ki riwayat mai tauba to bahana hai

Izzat say na marjayein kyun naam e Muhammad par,
Youn bhi kisi din hum ne duniya say toh jana hai.

ye keh ke dar e haq se li maut me kuch mohlat
sarkar ki amad hai mehfil ko sajana hai









Salam lyrics:


1) Mustafa jane rehmat:

Jalwagar hogaya hai haleema ka chand.
Ab to jajta nahi hai ye duniya ka chand
Faiz pata hai jis se zuleqa ka chand
Jis suhani ghadi chamka taiba ka chand
Us dil afroz e sa’at pe lakho salam..

kehkasha ne jo dekha to sharma gayi
kaisi noraani surat hai sarkar ki
jinki tazeem ko jhuk gayi chandni
jinke sajde ko mehrab e kaba jhuki
un bhawoon ki latafat pe lakhoon salam

Padhgayi jis pe mehsar mein baqsha gaya.
Dekha jis samth abr e rehmath chagaya
Ruq jidhar hogaya zindagi pa gaya Aur
Jis taraf uthgayi dum mein dum aagaya
Us nighaein enayath pe lakhon salam

Dard e dil naam le ne se hota hai kam
isliye naam aqa ka lete hai ham
jhoom kar likh raha hai raza ka qalam
Shehr e yaare eram taajdar e haram
Nau bahare shafa’t pe lakho salam.

abre joodo karam kis pe barsa nahi
tera lutfo karam kis ne dekha nahi
kis jaga aur kahan tera charcha nahi
ek mera hi rehmat pe dawa nahi
shah ki saari ummat pe lakh salaam

jinki maa fatima or nana rasool
marhaba marhaba hai wo alay rasool
sab se paakiza hai unke khadmoon ki dhool
sab se mehke hue hai madine ke phool
karbala teri kismat pe lakhoon salam

jin ko dhoke se kufa bulaya gaya
jinko baithe bithaye sataya gaya
jin ke bachoon ko pyasa rulaya gaya
jinki gardan pe khanjar chalaya gaya
us hussain ibne hyder pe lakhoon salam

haq meharram imaam muttuqa wannuqa
zaate akram imaam muttuqa wannuqa
qutbe alam imaam muttuqa wannuqa
ghouse azam imaam muttuqa wannuqa
jalwa e shaane qudrat pe lakho salam

Imam Ahmed Raza, Raza wo raza
jinki har ek ada sunnnat e mustafa
Daldi qalb mein azmatein musatafa
Syedi alahazrat pe lakhon salam.


Different version of it:

ALLAH ALLAH Wo Bachpane Ki Phaban
Us Khuda Bhaati Surat Pe Laakho(n) Salaam

Shehre Yaare Iram Tajdaare Haram
Nau Bahaar E Shafa'at Pe Laakho(n) Salaam

Mujhse Bekas Ki Daulat Pe Laakho(n) Durood
Mujhse Bebas Ki Quvvat Pe Laakho(n) Salaam

Hum Ghareebo Ke Aaqa Pe Behad Durood
Hum Faqeeri Ki Sarwat Pe Laakho(n) Salaam

Jinke Sajde Ko Mehraab E Kaaba Jhuki
Unn Bhavo(n) Ki Latafat Pe Laakho(n) Salaam


Jiss Taraf Uth Gayi Dam Me Dam Aa Gaya
Us Nigah E Inayat Pe Laakho(n) Salaam

Door o nazdeek ke sun-ne waale woh kaan
Kaan e la'l e karaamat pe laakhon salam

HaaTh jis simt uThaa ghanii kardiya
Mawj e bahr e samaaHat pe laakhon salam

Jis Suhani Ghadi Chamka Taibah Ka Chaand
Us Dil Afroz Sa'at Pe Laakho(n) Salaam

Jinke Dushman Pe Laanat Hai ALLAH Ki
Un Sab Ahle Muhabbat Pe Laakho(n) Salaam

Jiske Aage Khinchi Gardane Jhuk Gayi
Us Khuda Dad Shoukat Pe Laakho(n) Salaam

Jiski Mimbar Bani Gardan E Awliyah
Uss Qadam Ki Karamat Pe Laakho(n) Salaam

Ek Mera Hi Rehmat Me D'awa Nahi
Shah Ki Saari Ummat Pe Laakho(n) Salaam

Kaash Mehshar Me Jab Unki Aamad Ho Aur
Bheje Sab Unki Shouqat Pe Laakho(n) Salaam
Mujhse Khidmat Ke Qudsi Kahe Haa Raza
Mustafa Jaan E Rehmat Pe Laakho(n) Salaam

Daal di khalb me Azmathe Mustafa(saw)
SYEDI ALA HAZRATH pe laakho(n) Salaam






2) Bulalo sarkar:

Bulalo sarkar aap apne dar par
durood aap par salam aap par,
karam ho hampar bhi banda parwar
durood aap par salaam aap par.

wo sabz gumbadh sunehri jali , louta na koi wahan se khali ,
bana do mera bhi ab muquadder , durood aap par salam aap par

na pas zar hai na par hai mere ,chala bhi jata nahi hai mujh se
phir kaise ponhchu mai aap ke dar par , durood aap par salam aap par

kabhi to aye ga wo zamana yakinan hoga madina jana
padhenge roze par sar jhuka kar ,durood aap par salaam aap par

ye arzoo hai madina jain pakadh kar jali ye keh sunayain
bachalo hamko baroz e mahsher , durood aap par salam aap par

na chain din ko na raat soye , hamesha guhm me hamare roye

khuda ko chode na ham ko chode , durood aap par salaam aap par.






3) Maulaya Salli Wassalim:


Maulaya Salli Wassalim da-Iman Abadan
Ala Habi Bika Khairil Khalqi Kullimi

Muhammadun Sayyidul Kawnayni Wa-Thaqalain
Wal-Fareeqaini Min Urbin Wa Min-Ajami.

Huwal habeebul-ladhee turja shafaa'atuhu
Li kulli hawlim-minal ahwali muqutahimi.

Thummar Rida An Abi Bakriw Wa An Umarin
Wa An Aliyyiw Wa An Usmana Zil Karami

Ya Rabbe Bil Mustafa Ballig Maqasedna
Wag Fir Lana Ma Madaya Wase Al Karami

Amena ke dilbar o dildar par lakhoon salam
ambiya ke sarwar o sardar par lakhoon salam

mere pyari peer o murshid sayyedi ghousul wara
auliya allah ke sardar par lakhoon salam

jo gaya ajmer wo manki muraad'en pagaya
mere khaja ke sakhi darbar par lakhoon salam

Mawlaya Salli Wassalim da-Iman Abadan

Ala Habi Bika Khairil Khalqi Kullimi.





4) Tajdar e Haram aye shahinshah e deen:

Tajdar-e-Haram aye Shehansha-e-deeN
Tum pay har dam karoRoN darood-o-sallam
Hoo nigah-e-karam hum pay sultan-e-deeN
Tum pay har dam karoRoN darood-o-sallam

Door reh kar naa dam toot jaye kaheeN
Kash Taibba maiN aye mairay mah-e-Mubeen
Dafan honay ko mill jaye do gaz zameeN
Tum pay har dam karoRoN darood-o-sallam

Tajdar-e-Haram aye Shehansha-e-deeN
Tum pay har dam karoRoN darood-o-sallam

Koi husn-e-amal pass mairay naheeN
Phas naaN jawoN Qiamat maiN mola kaheeN
Aye Shaf-e-Ummam laaj rakhna tumhi
Tum pay har dam karoRoN darood-o-sallam

Tajdar-e-Haram aye Shehansha-e-deeN
Tum pay har dam karoRoN darood-o-sallam

Teri yadoon se mamoor seena rahey
Lab pe har dam madina madina rakey
bas mai deevna banjaoon sultan e deen
tum pe har dam karodoon durood o salam

Tajdar-e-Haram aye Shehansha-e-deeN
Tum pay har dam karoRoN darood-o-sallam

Dono Alam Main Koi Bhi Tumsa Nahi
Sab Haseeno Se Bar Kar Tumhi Ho Haseen
Kasim-e-Rizq-e-Rabul Ula Ho Tumhi
Tumpe Har Dam Karoron Durood O Salam

Tajdar-e-Haram aye Shehansha-e-deeN
Tum pay har dam karoRoN darood-o-sallam

Phir bula loo Madinay maiN attar ko
Yeh taRapta hay Taibba kay deedar ko
Koi iss kay siwa aarzo hee naheeN
Tum pay har dam karoRoN darood-o-sallam

Tajdar-e-Haram aye Shehansha-e-deeN
Tum pay har dam karoRoN darood-o-sallam
Hoo nigah-e-karam hum pay sultan-e-deeN

Tum pay har dam karoRoN darood-o-sallam.




5)Ya nabi salam'alaika:

aap ka tashrif lana waqt bhi kitna suhana
jag maga utha zama na horain padh tithi tarana

Jankani ke waqt aana Kalimah taybah padhana
Chehra eh anwar dekana ambari zulfain sunghana

Rehmatoon kay taj walay, do jahan kay raj walay,
aarsh ki mairaj walay, aasiyoon ki laj walay.

aap ke rutbe bade hai ham gunahoon me pade hai
aap ke dar pe khade hai ham yahaan chote bade hai

ya rasool allah bachalo hamgire hamko samhalo
nare dozak se bachalo apni kamli me chupa lo

sadkha do ghouse ul wara ka sadkha do khaja piya ka
sadkha do kul auliya ka ishq do ahmed raza ka.




6)Aye habeeb e ahmad e mujhtaba:


Aye habeeb e ahmad e mujtaba dil e mubtala ka salam lo
jo wafa ki rah me kho gaya usi gum shuda ka salam lo

ya rasool allah ya habib allah mere aqa pyare
mai talab se baz na aaonga tu karam ka haath baday ja
jo tere karam se hai ashna usi ashna ka salam lo

koi marraha hai baisht par koi chahata hai nijat ko
mai tujhi ko chahon khuda kare meri is ada ka salam lo

wo hussain jisne chidak ke khoon chaman e wafa ko hara kiya
usi jaan nisar ka wasta ke har ek gada ka salam lo

yehi raat din hai dua meri ke maroon to tere diyar me
yehi mudda'a e hayat hai isi muddua ka salam lo

tere astan kay talash me tere justajo ke khayal me
jo luta chuka hai mata e dil usi benawa ka salam lo

tera noor ho mere sine me mile lutf mujhko bhi jine me
meri haazri ho madine me meri is dua ka salam lo



7) Aye saba mustafa say:

Aye saba mustafa se ja kehna gham ke mare salam kehte hain
sabz gumbad ki un baharoon ko dil hamare salam kehte hain

Allah allah huzur ki bateen marhaba rang o noor ki batain
chand jinki balain leta hai or sitare salam kehte hain

Sabz gumbad ka aankh me manzar or tasawwor me aap ka mimbar
samne jaliyaan hai roze ki dil hamare salam kehte hain

Allah Allah huzur ke gaysu bhini bhini mehek ti wo khushbu
jinse mamoor hai fiza har soo wo nazare salam kehte hain

Zaair e taiba tu madine me pyare aqa se itna kehdena
aap ki gard e rah ko aqa dil hamare salam kehte hain

Zikr tha aqkri mahine ka chidgaya tazkira madine ka
haajioon mustafa se kehdena besahare salam kehte hain

Gham ke badal tamam chat ne lage parde ankhon se sare hatne lage
jo tala tum bane hue the sohail wo kinare salam kehte hain

5 comments: